Friday, April 20, 2018

love me shayari

Roj Saahil Se Samandar Ka Najara Na Karo,
Apni Soorat Ko Shabo-Roz Nihara Na Karo,
Aao Dekho Meri Najron Mein Utar Kar Khud Ko,
Aayina Hoon Main Tera Mujhse Kinara Na Karo.
रोज साहिल से समंदर का नजारा न करो,
अपनी सूरत को शबो-रोज निहारा न करो,
आओ देखो मेरी नजरों में उतर कर खुद को,
आइना हूँ मैं तेरा मुझसे किनारा न करो।


Shayari Forever




Muddat Se Thi Unn Se Milne Ki Aarzoo,
Khwahish-e-Deedar Mein SabKuchh Luta Diya,
Kisi Ne Di Khabar Ke Aayenge Wo Raat Ko,
Itna Kiya Ujaala Ke Ghar Tak Jala Diya.


Nahi Jo Dil Mein Jagah Toh Najar Mein Rahne Do,
Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rahne Do,
Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hoon,
Mere Wajood Ko Khwaabon Ke Ghar Mein Rahne Do.



Har Ek Haseen Chehre Mein Gumaan Uska Tha,
Basaa Na Koi Dil Mein Ye Makaan Uska Tha,
Tamaam Dard Mit Gaye Mere Dil Se Lekin,
Jo Na Mit Saka Woh Ek Naam Uska Tha.




Amal Se Bhi Manga Wafa Se Bhi Manga,
Tujhe Maine Teri Razaa Se Bhi Manga,
Na Kuchh Ho Saka Toh Dua Se Bhi Manga,
Kasam Hai Khuda Ki Khuda Se Bhi Manga.






Shayari World For Couple

Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar,
Kitni Khamosh Mohabbat Ki Jubaan Hoti Hai.
राज़ खोल देते हैं नाजुक से इशारे अक्सर,
कितनी खामोश मोहब्बत की जुबान होती है।


Yahi Bahut Hai Ke Tumne Palat Ke Dekh Liya,
Yeh Lutf Bhi Meri Umeed Se Kuchh Zyada Hai.
यही बहुत है कि तुमने पलट के देख लिया,
ये लुत्फ़ भी मेरी उम्मीद से कुछ ज्यादा है।


Sambhale Nahi Sambhalta Hai Dil,
Mohabbat Ki Tapish Se Na Jala,
Ishq TalabGaar Hai Tera Chala Aa,
Ab Zamane Ka Bahaana Na Bana.
संभाले नहीं संभलता है दिल,
मोहब्बत की तपिश से न जला,
इश्क तलबगार है तेरा चला आ,
अब ज़माने का बहाना न बना।




Check out more